agarche tum sa banaya nahin gaya huun main
magar bana ke miTaya nahin gaya huun main
use ye dukh ki zamin tang qafiya mushkil
mujhe ye dukh ki nibhaya nahin gaya huun main
main jis taraf se mukammal dikha.i deta huun
usi taraf se dikhaya nahin gaya huun main
ye inkisari azal se mire ḳhamir men hai
jhuka hua huun jhukaya nahin gaya huun main
ghurur lazmi unsur tha is vazarat ka
so ḳhud haTa huun haTaya nahin gaya huun main
main apni zaat men ik mo’atabar havala huun
kisi ke saath milaya nahin gaya huun main
main mas.alon men filistin huun magar ‘faisal’
kisi jagah pe uThaya nahin gaya huun main
Leave a Reply