kahāñ kī āh-o-zāriyāñ malāl tak nahīñ huā
dil-e-ḳharāb pā.emāl yak-ba-yak nahīñ huā
bikhar ga.e the TuuT kar magar ham is ke ba.ad hī
kuchh is tarah sañbhal ga.e kisī ko shak nahīñ huā
baḌī hī karbnāk thī vo pahlī raat hijr kī
dobāra dil meñ aisā dard aaj tak nahīñ huā
sitamgaroñ se dostī chalī tamām zindagī
sitam-zadoñ pe mehrbāñ magar falak nahīñ huā
‘aqīl’ marg-e-ārzū koī ḳhabar na ban sakī
ye hādisa huā magar lab-e-saḌak nahīñ huā