• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dad Milti Nazar-E-Ahl-E-Nazar Se Pahle

Dad Milti Nazar-E-Ahl-E-Nazar Se Pahle

daad milti nazar-e-ahl-e-nazar se pahle

maut aati jo kahin dil ko jigar se pahle

tasfiya karte na hangam-e-sahar se pahle

puchh lete kisi mayus nazar se pahle

mera marna tumhen ho ja.ega ḳhud hi ma.alum

dil taḌap uTThega siine men ḳhabar se pahle

tum to kahte the ki main dard ka qaa.il hi nahin

kaun chiḳha mire nalon ke asar se pahle

naam jis chiiz ka hai maut jahan men mash.hur

vaqi.a ye to hua dard-e-jigar se pahle

aaj ki raat to kuchh ….aur ḳhabar deti hai

ho munasib to chale aana sahar se pahle

ek bijli si miri ankhon ke andar kaundi

aur irada jo hua azm-e-safar se pahle

roi majburiyon par charagaron ki qismat

mar gaya aap ka bimar sahar se pahle

main bhi samjha huun tire naqsh-e-qadam ka matlab

main bhi guzra tha isi rahguzar se pahle

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Badli Hui Nazron Se Ab Bhi Andaz Purane Mange Hai

Sufi

Sadiyon Ke Andhere Mein Utara Kare Koi

poet

Kis Sher Mein Sana-E-Rukh-E-Mah-Jabin Nahin

Jaane Do in Naghmon Ko Aahang-E-Shikast-E-Saz Na Samjho

Munh Dekha Kiye Hum Aaine Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet