kisi ke dosh na markab se istifada kiya
yahan talak ka safar ham ne pa-pyada kiya
jahan pe dekhe qadam apne kuchh bhaTakte hue
vahin Thahar ke farozan charagh-e-bada kiya
libas badle nahin ham ne mausamon ki tarah
ki zeb-e-tan jo kiya ek hi labada kiya
amir-e-shahr sabhi the sharik-e-mashq-e-sitam
kisi ne kam to kisi ne sitam ziyada kiya
har ek baar qadam but-kade men lauT aa.e
ḳhuda gavah hai masjid ka jab irada kiya
bichhaḌne valon men ham jis se ashna kam the
na jaane dil ne use yaad kyuun ziyada kiya
koi akela to main sadgi-pasand na tha
pasand us ne bhi rangon men rang saada kiya
bahut hi tang thi ‘mohsin’ ye rahguzar-e-ghazal
ham ahle-e-fikr-o-nazar ne ise kushada kiya
Leave a Reply