kya jaane kahan bahr-e-ulfat ka kinara hai
har mauj ke siine men kashti ko utara hai
ab aah ruke kyunkar ab ashk thamen kaise
chalti hui andhi hai bahta hua dhara
tufan tadabbur hai gahra.i tadabbur ki
main ne tah-e-dariya se sahil ko ubhara hai
parvane charaghon par girne lage masti men
ye mahfil-e-hasti men kaun anjuman-ara hai
sab saaz ke hamil hain naghma ho ki naala ho
naala bhi gavara kar naghma jo gavara hai
‘maḳhmur’ ko jiine do ankhon hi se piine do
ye bada-kash-e-ulfat nazron hi ka maara hai
Leave a Reply