duniya men koi dil ka kharidar na paaya
sab dekhe dil-azar hi dildar na paaya
kab ghair ko ham-rah tire ai yaar na dekha
tujh gul ko kabhi ham ne to be-khar na paaya
tujh rukh se na burqa utha ai ghairat-e-khurshid
zarra tira mushtaqon ne didar na paaya
ham sar hi patakte rahe darvaze ke bahar
par ghar men tire aana kabhi baar na paaya
kis se kahun apna gham-e-dil aah azizan
duniya men koi munis-o-gham-khvar na paaya
har tarah gale pad ke diya ham ne tujhe dil
jab tujh sa yahan koi tarah-dar na paaya
dekh us ki hui aisi ze-khud-raftagi tujh ko
kal aap men main tujh ko ‘jahandar’ na paaya
Leave a Reply