• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Honton Pe Qarz-e-Harf-e-Wafa Umr Bhar Raha

Honton Pe Qarz-e-Harf-e-Wafa Umr Bhar Raha

akhtar-hoshiyarpuri

honTon pe qarz-e-harf-e-vafa umr bhar raha

maqruz tha so chup ki sada umr bhar raha

kuchh darguzar ki un ko bhi aadat na thi kabhi

kuchh main bhi apni zid pe uḌa umr bhar raha

vo tajrabe hue ki mire ḳhuun ki ḳhair ho

yaaro main apne ghar se juda umr bhar raha

mausam ka habs shab ki siyahi fasil-e-shahr

mujrim tha sar jhukae khaḌa umr bhar raha

sub.h o masa ki gardish-e-paiham ke bavajud

main darmiyan-e-sub.h-o-masa umr bhar raha

in barishon men kaun bahe ḳhar-o-ḳhas ke saath

suraj ki le ke sar pe rida umr bhar raha

hathon se oT ki to sabhi ungliyan jalin

phir bhi hava ki zad pe diya umr bhar raha

ik ḳhuun ki ḳhalij mire samne rahi

aur mere pichhe saaya mira umr bhar raha

‘aḳhtar’ ye jangalon men usi ke nishan hain

jo ḳhaar ḳhaar abla-pa umr bhar raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

paD Gai Aap Par Nazar Hi to Hai

Kya Jaane Ye Chalti Goli

Yun Qatl-E-Am Nau-E-Bashar Kar Diya Gaya

poet

Aa Gaya dil Jo Kahin Aur Hi Surat Hogi

asrarul-haq-majaz

Lucknow

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet