alam ka bojh uTha.e safar men rahta hai
jo bad-nasib miri chashm-e-tar men rahta hai
vafa ki bhiik koi zar-parast kya dega
kasir fa.eda us ki nazar men rahta hai
talash-e-rahat-e-duniya se kya gharaz mujh ko
amin-e-gham huun yahi mere ghar men rahta hai
mili mujhe isi gardish men azm ki daulat
safina mera hamesha bhanvar men rahta hai
main janta huun ki anjam-e-zindagi kya hai
haris uljha hua mal-o-zar men rahta hai
munafiqat ke amal men kamal hai itna
vo kuchh na ho ke bhi aksar ḳhabar men rahta hai
sadaqaton se muzayyan ḳhayal hai ‘sahil’
mushahida tire arz-e-hunar men rahta hai
Leave a Reply