ghairon pe karam apnon pe sitam
a jan-e-vafa ye zulm na kar
rahne de abhi thoda sa bharam
a jan-e-vafa ye zulm na kar
ham chahne vaale hain tere
yuun ham ko jalana thiik nahin
mahfil men tamasha ban jaaen
is tarah bulana thiik nahin
mar jaenge ham mit jaenge ham
a jan-e-vafa ye zulm na kar
ham bhi the tire manzur-e-nazar
dil chahe to ab inkar na kar
sau tiir chala siine pe magar
beganon se mil ke vaar na kar
tujh ko tiri bedardi ki qasam
a jan-e-vafa ye zulm na kar
Leave a Reply