ra.igani ki riyazat bhi nahin kar sakta
TuuTe rishton ki marammat bhi nahin kar sakta
ghar ki raunaq ka sabab hote hain bachche ya.ani
shor hone pe shikayat bhi nahin kar sakta
jis tarah main ne tire naam kiya hai sab kuchh
is tarah koi vasiyyat bhi nahin kar sakta
camera aankh men zindan liye phirta hai
koi tasvir se hijrat bhi nahin kar sakta
har kisi ko to mayassar nahin meri ankhen
har koi teri ziyarat bhi nahin kar sakta
Leave a Reply