ḳhafa hai gar ye ḳhuda.i to fikr hi kya hai
tiri nigah salamat mujhe kami kya hai
bas ik tajalli-e-rangin bas ik tabassum-e-naz
riyaz-e-dahr men phulon ki zindagi kya hai
ḳhuda-rasida sahi laakh barguzida sahi
jo aadmi ko na samjhe vo aadmi kya hai
abas ye mashq-e-ruku-o-sujud hai yaaro
agar pata nahin mafhum-e-bandagi kya hai
kahin ye lutf-o-inayat ki ibtida to nahin
tumhin batao ye andaz-e-barhami kya hai
dilon ke taar jo chhu le vahi hai sher ‘hafiz’
agar ye baat nahin hai to sha.iri kya hai
Leave a Reply