mira jahan abhi mera jahan bana hi nahin
zamin bani hi nahin asman bana hi nahin
hazar sabz sahi ra.egan si lagti hai
vo shaḳh jis pe kabhi ashiyan bana hi nahin
koi bhi surat-e-halat der pa na hui
jo gham aziiz hua javedan bana hi nahin
jis inqalab ki surḳhi mire lahu ne likhi
vo inqalab miri dastan bana hi nahin
bahut si aur bhi sharten hain karvan ke liye
hujum se to kabhi karvan bana hi nahin
Leave a Reply