apne mahaul se the qais ke rishte kya kya
dasht men aaj bhi uthte hain bagule kya kya
ishq mear-e-vafa ko nahin karta nilam
varna idrak ne dikhlae the raste kya kya
ye alag baat ki barse nahin garje to bahut
varna badal mire sahraon pe umde kya kya
aag bhadki to dar-o-bam hue raakh ke dher
aur dete rahe ahbab dilase kya kya
log ashiya ki tarah bik gae ashiya ke liye
sar-e-bazar tamashe nazar aae kya kya
lafz kis shaan se takhliq hua tha lekin
us ka mafhum badalte rahe nuqte kya kya
ik kiran tak bhi na pahunchi mire batin men ‘nadim’
sar-e-aflak damakte rahe taare kya kya
Leave a Reply