vo dariya hai koi sahra nahin hai
magar pur-josh bhi lagta nahin hai
tujhe tera samundar ho mubarak
hamari pyaas se achchha nahin hai
vahi barish ka charcha kar rahe hain
badan jin ka kabhi bhiga nahin hai
kabhi dekha nahin hai ham ne varna
zamin ki vus.aton men kya nahin hai
abhi se aa ga.i hai raat milne
abhi to chand bhi nikla nahin hai
nigahen tak rahi hain ghonsle ki
parinda lauT kar aaya nahin hai
main rukne ke liye aaya tha ghar men
kisi ne kyuun mujhe roka nahin hai
kahan asrar apne pa sakega
abhi ḳhud men koi bhaTka nahin hai
sabhi kirdar achchhe lag rahen hain
kahani men koi sachcha nahin hai
mah-e-kan.an hai ahd-e-na-rasa.i
abhi bazar tak pahuncha nahin hai
zamin par zor hai jadugaron ka
asa-e-hazrat-e-musa nahin hai
samundar to mathe jaati hai duniya
koi bhi vish magar piita nahin hai
Leave a Reply