• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Be-Rawi O Zulf-E-Yar Hai Rone Se Kaam Yan

Be-Rawi O Zulf-E-Yar Hai Rone Se Kaam Yan

meer-taqi-meer

be-ravi o zulf-e-yar hai rone se kaam yaan

daman hai munh pe abr-e-namat subh-o-sham yaan

avaza hi jahan men hamara suna karo

anqa ke taur ziist hai apni ba-nam yaan

vasf-e-dahan se us ke na aage qalam chale

yaani kya hai khame ne khatm kalam yaan

ghalib ye hai ki mausam-e-khat vaan qarib hai

aane laga hai muttasil us ka payam yaan

mat kha fareb-e-ijz azizan-e-hal ka

pinhan kiye hain khaak men yaron ne daam yaan

koi hua na dast-basar shahr-e-husn men

shayad nahin hai rasm-e-javab salam yaan

nakam rahne hi ka tumhen gham hai aaj ‘mir’

bahuton ke kaam ho gae hain kul tamam yaan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya Tum Bhi Tariqa Naya Ijad Karo Ho

Nahin Malum Jine Ka Hunar Kaisa Rakha Hai

poet

Kisi Ka Ek Hai dushman To dost-dar Hai Ek

Rah-E-Safar Mein Rahe Aur Hayat Se Guzre

Aaj Aae Hain Kal Jaana Hai Phir Ishq Ko Ruswa Kaun Kare

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet