kuchh aisa tha gumrahi ka saaya
apna hi pata na ham ne paaya
dil kis ke jamal men hua gum
aksar ye khayal hi na aaya
ham to tire zikr ka hue juzv
tu ne hamen kis tarah bhulaya
ai dost tiri nazar se mera
aivan-e-nigah jag muskaya
khurshed usi ko ham ne jaana
jo zarra zamin pe muskuraya
maqsud thi tazgi chaman ki
ham ne rag-e-jan se khuun bahaya
uftad hai sab ki apni apni
kis ne hai kisi ka gham bataya
marumi-e-javedan hai aur main
main zauq-e-talab se baaz aaya
har gham pe hai mere naam ki mahr
‘fitrat’ koi gham nahin paraya
Leave a Reply