kahna hi mira kya hai ki main kuchh nahin kahta
ye bhi tumhen dhoka hai ki main kuchh nahin kahta
ye baat ki kahna hai mujhe tum se bahut kuchh
is baat se paida hai ki main kuchh nahin kahta
apni hi kahe jaata hai ai naseh-e-na-faham
tu kuchh nahin sunta hai ki main kuchh nahin kahta
rahta hai vo but shikva-e-aghyar pe ḳhamosh
kahta hai to kahta hai ki main kuchh nahin kahta
kahlao na kuchh ghair ki tarif men mujh se
samjho to ye thoḌa hai ki main kuchh nahin kahta
kahne ka to apne hai ‘vafa’ aap bhi qaa.el
kahne ko ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta
Leave a Reply