dinon se kaise shabon men Dhalte hain din hamare
ye ham badalte hain ya badalte hain din hamare
jo kaT gaya hai safar abhi tak nahin hamara
ḳhabar nahin aur kitna chalte hain din hamare
ye kis ke jaane pe bain karti hain chand-raten
ye kis ke jaane pe haath malte hain din hamare
Leave a Reply