• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dar Talak Aa Ke Tuk Aawaz Suna Jao Ji

dar Talak Aa Ke Tuk Aawaz Suna Jao Ji

mushafi-ghulam-hamdani

dar talak aa ke tuk avaz suna jaao ji

apne mushtaq ko itna bhi na tarsao ji

ghair ke saath se bhage hai mujhe dekh to main

us se kahta huun ki us ko tumhi thahrao ji

main jo ik roz bulaya unhen ghar jaate dekh

paas aa baith ke kahne lage farmao ji

shana kya zulf-e-pareshan men karo ho baithe

apne uljhe hue balon ko to suljhao ji

zanu-e-ghair pe shab sar na rakha tha tum ne

jaao jhuti na mire sar ki qasam khaao ji

mujh se kya puchho ho kya ji men tire hai sach kah

hai jo kuchh ji men mire tum hi samajh jaao ji

raat andheri hai chale aao mire ghar chhup kar

aa ke phir chand sa mukhda mujhe dikhlao ji

ishq men hote hain myan-‘mushafi’ sau tarah ke gham

go gham-e-hijr hai itna bhi na ghabrao ji

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Na Koi Din Na Koi Raat Intizar Ki Hai

Waqf Kar Ke Zindagi Ki Saaten Tere Liye

ahmad-hamdani

Nit-Nae Rang Se Karta Raha dil Ko Pamal

Samundaron Se Kabhi Dasht Se Guzarne Mein

poet

Pahle Subh Ka Raushan Tara Sirf Hamare Dhyan Mein Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet