dasht-paimai ka gar qasd mukarrar hoga
har sar-e-khar pae-abla nashtar hoga
mai-kade se tira divana jo bahar hoga
ek men shisha aur ik haath men saghar hoga
halqa-e-chashm-e-sanam likh ke ye kahta hai qalam
bas ki markaz se qadam apna na bahar hoga
dil na dena kabhi in sang-dilon ko yaaro
chuur hovega jo shisha tah-e-patthar hoga
dekh leta vo agar rukh ki tajalli tere
aaina khana-e-mayusi men shashdar hoga
chaak kar dalunga daman-e-kafan vahshat se
astin se na mira haath jo bahar hoga
ai ‘rasa’ jaisa hai bargashta zamana ham se
aisa bargashta kisi ka na muqaddar hoga
Leave a Reply