use mana kar ghurur us ka baḌha na dena
vo samne aa.e bhi to us ko sada na dena
ḳhulus ko jo ḳhushamadon men shumar kar len
tum aise logon ko tohfatan bhi vafa na dena
vo jis ki Thokar men ho sambhalne ka dars shamil
tum aise patthar ko raste se haTa na dena
saza gunahon ki dena us ko zarur lekin
vo aadmi hai tum us ki azmat ghaTa na dena
jahan rifaqat ho fitna-pardaz maulvi ki
bahisht aisi kisi ko mere ḳhuda na dena
‘qatil’ mujh ko yahi sikhaya mire nabi ne
ki fat.h pa kar bhi dushmanon ko saza na dena
Leave a Reply