• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ajab Lahja Hai Us Ka

Ajab Lahja Hai Us Ka

mansoora-ahmad

paniyon par jhilmilati chandni jaisa

mire dil ka samundar jab bhanvar ki zad men aa jaae

sabhi tarik lahren gher kar mujh ko

kisi patal ka rasta dikhati hon

to vo aisi sifat lahja

mujhe phir sahilon par khinch laata hai

mujhe kahta hai dekho

is bhanvar ke paar bhi duniya men kuchh lamhe dhadakte hain

unhen bhi apni sanson men parda dekhun

ye lahren jo ki andhiyaron men dev-asar lagti hain

unhen tum chandni men dekhna ye kis tarah

kirnon se mil kar majare takhliq karti hain

ye lahren jab rupahle nuur ki naddi men dhalti hain

to masti men machalti asmanon ko lapakti hain

amavas jab bhi aae chandni ko ya magar lena

mire charon taraf melon pe chalti dhuup phaili hai

magar us ki ye baten barishon ki bundiyon jaisi

mire dil ki daradon men

hari fasli ugaai hain

main sar se paanv tak

shabnam se bhigi pattiyon men duub jaati huun

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Shab to Kya Sahar Ko Bhi Shayad Nahin Pata

poet

Nist Be-Yar Mujhko Hasti Hai

poet

Kinaron Se Juda Hota Nahin Tughyaniyon Ka Dukh

Arz-E-Muddaa Karte Kyun Nahin Kiya Humne

Shahab-Chehra Koi Gum-Shuda Sitara Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet