bhaTka karunga kab tak rahon men teri aa kar
tujh ko bhula sukun main mere liye dua kar
kab tak ye teri hasrat kab tak ye meri vahshat
in saari bandishon se mujh ko kabhi riha kar
ek umr se tujhe main be-uzr pi raha huun
tu bhi to pyaas meri ai jaam pi liya kar
kal raat zindagi ye mujh se taḌap ke boli
kuchh der ko to ho kar mera bhi tu raha kar
rishte ka.i sunahre is zindagi se paa.e
rakkha magar na ham ne un ko kabhi bacha kar
dil ke khanDar se panchhi yadon ke ja na paa.e
dekha hai ham ne un ko kitni hi baar uḌa kar
vo qurb ho ki duuri sab ḳhvahishen adhuri
‘alok’ aa ga.e hain dariya men ham baha kar
Leave a Reply