gali se tiri jo ki ai jaan nikla
gareban se dast-o-gareban nikla
tiri aan pe ghash huun har aan zalim
to ik aan lekin na yaan aan nikla
yahi mujh ko rah rah ke aata hai arman
ki tujh se na kuchh mera arman nikla
miri ah-e-atish-fishan dekhti hai
liye ghar se har aan quran nikla
miri jaan shart-e-rifaqat nahin ye
nikal jaan tu bhi ki paikan nikla
kiya main ne mujra to jhunjhla ke bola
kahan ka mira jaan pahchan nikla
ajab be-baha hai mira ashk yaaro
ye kam-bakht ladka to tufan nikla
mujhe shaikh ulfat se maane hai ‘ehsan’
vali jis ko samjha tha shaitan nikla