ek muddat dhaḌakta raha mera dil
aap ki raah takta raha mera dil
ik kali si khili thi tamannaon ki
ek arsa mahakta raha mera dil
shahr hairan hain meri rudad par
dasht men kyuun bhaTakta raha mera dil
itni kanTon bhari rahguzar thi miri
har qadam par aTakta raha mera dil
izn-e-iz.har mil bhi gaya tha magar
kis liye phir jhijakta raha mera dil
Leave a Reply