aise mile nasib se saare ḳhuda ki bas
main bandagi ke zo.am men chilla uTha ki bas
ik khel ne hamara muqaddar badal diya
vo to hamen pukar kar aisa chhupa ki bas
pahle to ik nashe ko kiya sar pe ḳhud savar
phir yuun kisi ḳhayal se ji haT gaya ki bas
jannat milegi us ne kaha mominin ko
jalte hue makan se aa.i sada ki bas
naghma samajh ke shor se mahzuz hoti bhiiḌ
amboh-e-bekaran men koi chiḳhta ki bas
Leave a Reply