• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Diya KHamosh Tha Aur Raushni Hoti Na Thi

Jab Diya KHamosh Tha Aur Raushni Hoti Na Thi

jab diya ḳhamosh tha aur raushni hoti na thi

raat kya aati thi goya zindagi hoti na thi

jin dinon logon ki ankhen ḳhvahishon se duur thiin

un dinon is shahr ki ye dilkashi hoti na thi

apni apni raghbaton par jab talak tha iḳhtiyar

tere mere darmiyan ye bebasi hoti na thi

un dinon ki baat hai jab ham the miTTi se juḌe

be-kali ma.adum thi aur be-dili hoti na thi

dekhte hi dekhte manzar badal kar rah gaya

ye gali suuni thi jab tak aap ki hoti na thi

apne apne din the sab ke apni apni raat thi

koi bhi shai jab nazar men markazi hoti na thi

jab dar-o-divar aa.e to uThi divar bhi

ghar nahin tha to hamari be-ghari hoti na thi

ishq ne jab tak junun ka rasta dekha na tha

zindagi be-kaif thi tisha-gari hoti na thi

is zamin ka ḳhali-pan tha aur hava ka shor tha

un dinon ki baat hai jab sha.iri hoti na thi

jis ki shadabi hamen le aa.i hai ‘shahid’ yahan

us jazire par kabhi kya zindagi hoti na thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mai-E-Be-Rang Ka Sau Rang Se Ruswa Hona

Jo Dua Thi Wo Be-Asar Thahri

Moajaze Ka Dar Khula Aur Ek Asa Raushan Hua

kishwar-naheed

Wida Karta Hai dil Satwat-E-Rag-E-Jaan Ko

Jo Dard-E-Jigar Mein Kami Ho to Jaanun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet