koi dard hai jo abhi dava nahin ho saka
vo bichhaḌ gaya hai magar juda nahin ho saka
koi hai ḳhalish jo khaTak rahi hai abhi mujhe
koi sher hai jo abhi bapa nahin ho saka
vo mile agar to use kahun ai gulab shaḳhs
koi tujh sa kya tiri ḳhak-e-pa nahin ho saka
tire ba.ad phir miri mausamon se bani nahin
tire ba.ad main kabhi phir hara nahin ho saka
sar-e-bazm hain yahi tazkire ki bura huun main
mira jurm hai ki main bevafa nahin ho saka
isi baat par miri doston se hai dushmani
main amir-e-shahr ka ham-nava nahin ho saka
kisi aur shab main suna.unga ye ghazal tumhen
abhi aankh nam abhi dil dua nahin ho saka
tire ishq men koi jaan bhi le to bhi jan-e-jan
main yahi kahunga ki haq ada nahin ho saka
Leave a Reply