us gul se kuchh hijab hamen darmiyan na tha
jis din ki ye bahar na thi gulistan na tha
dam-o-qafas se chhut ke pahunche jo baagh tak
dekha to is zamin men chaman ka nishan na tha
ye qumriyan jo sarv ki ashiq huiin magar
duniya men aur koi sajila javan na tha
kyuun kar mili ho gul se jo aati ho khush-dimagh
ai bulbulon chaman men magar baghban na tha
lachar le dil apna gaya gor men ‘yaqin’
is jins ka jahan men koi qadr-dan na tha