• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Yaad-E-Yar Se Guft-O-Shunid Kar Li Hai

Jo Yaad-E-Yar Se Guft-O-Shunid Kar Li Hai

jo yad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai

to goya phuul se ḳhushbu kashid kar li hai

juda.iyon men bhi DhunDi hain qurbaten main ne

zarar-rasan thi jo shai vo mufid kar li hai

nahin khule the jo manzar miri basarat par

tasavvurat men un ki bhi diid kar li hai

sitare Taank diye hain falak ki chadar par

aur apni chadar-e-shab be-navid kar li hai

main chahta to use kuchh qarib le aata

masarraton ki jo saa.at ba.iid kar li hai

use to dukh hi nahin kuchh miri juda.i ka

saza ḳhud apne liye hi shadid kar li hai

use bhulane ki koshish men yaad kar kar ke

ḳhud apni ziist hi mushkil mazid kar li hai

husain ibn-e-ali ki taraf hi lauTenge

jinhon ne bai.at-e-fikr-e-yazid kar li hai

ata-e-‘mir’ hai mujh par ki main ne bhi raushan

ghazal ki sham.a ba-tarz-e-jadid kar li hai

jacha hai ab kahin ja kar ‘nasim’ jama-e-zist

kahin kahin se jo qat-o-burid kar li hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kuchh Pata Mera Nahin Hai Aashiyanon Mein Kahin

majrooh-sultanpuri

Aakhir Gham-E-Jaanan Ko Ai dil Badh Kar Gham-E-dauran Hona Tha

Waise to Ek Dusre Ki Sab Sunte Hain

poet

Zamin Se Aasman Tak Ka Safar Hai

Sham Dhale Us Bazm-E-Tarab Mein Mera Jaana KHub Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet