rag-e-jan men sama jaati ho janan
tum itna yaad kyuun aati ho janan
tumhare saa.e hai pahlu men ab tak
ki ja kar bhi kahan jaati ho janan
miri ninden uḌa rakkhi hain tum ne
ye kaise ḳhvab dikhlati ho janan
kisi din dekhna mar ja.unga main
miri qasmen bahut khati ho janan
vo sunta huun main apni dhaḌkanon se
tum ankhon se jo kah jaati ho janan
paraya-pan nahin apna.iyat hai
jo yuun ankhen chura jaati ho janan
Leave a Reply