tujh se yuun yak-bar toḌun kis tarah
main qadam tere ye chhoḌun kis tarah
ghar se babar tu na nikla ta-hanuz
tere dar par sar na phoḌun kis tarah
mai se taa.ib tha va-lekin aaj pi
haath lag jaave to chhoḌun kis tarah
abru-e-abr yaan manzur hai
aah main daman nichoḌun kis tarah
saaf dil kyun-kar karun tujh se bhala
TuuTi ulfat phir ke joḌun kis tarah
shauq se tu haath ko mere maroḌ
main tira panja maroḌun kis tarah
vaqt bosa ke ye ‘insha’ se kaha
tujh se main phir munh na moḌun kis tarah
Leave a Reply