Ab Zindagi Mein Hosh Ka Imkan to Gaya

ab zindagī meñ hosh kā imkān to gayā

lekin tirī nigāh ko pahchān to gayā

ab bhī hai ye ḳhayāl kisī tarah dekh luuñ

maanā ki dil se chaah kā armān to gayā

mānūs-e-ġham hī ban ke raheñ kyoñ na dahr meñ

hāsil kabhī ḳhushī ho ye imkān to gayā

ai kaash be-ḳhudī kā bhī anjām dekh luuñ

dil kī tarah se hosh kā imkān to gayā

achchhā huā ki va.ade se inkār kar diyā

har-vaqt kā ye haath meñ qur.ān to gayā

us but kī ai ‘munīr’ nigāhoñ meñ sehr thā

go jaan bach ga.ī magar īmān to gayā

Leave a Comment