kahan talash men ja.un ki justuju tu hai
kahin nahin hai yahan aur char-su tu hai
mahaz-e-jang pe khilte nahin hain haath mire
main kya karun ki muqabil mira adu tu hai
badal gaya hai zamana badal ga.i duniya
na ab vo main huun miri jaan na ab vo tu tu hai
kisi ne uTh ke yahan se kahin nahin jaana
saji hai bazm ki mauzu-e-guftugu tu hai
main dekhta huun kise kuchh mujhe nahin malum
koi bhi samne aa jaa.e hu-ba-hu tu hai
tamam alam-e-sar-mast hai tiri ijad
ye mai-kada hai tira sahib-e-subu tu hai
tiri talab ne rakha inhimak pakiza
namaz-e-ishq tire vaste vazu tu hai
mira gunah bhi sha.ista-e-tavakkul hai
ki tu ḳhuda hai mira aur ḳhair-ḳhu tu hai
ye aa.ine men koi aur shaḳhs hai ‘asim’
ghalat ḳhayal hai tera ki ru-ba-ru tu hai
Leave a Reply