jo tujhe aur mujhe ek kar saka nahin
vo tira ḳhuda nahin vo mira ḳhuda nahin
zindagi mili kabhi to gila karenge par
zindagi mili nahin to gila kiya nahin
main jo is dayar men ab talak nahin mara
kya mira koi aziiz ab yahan bacha nahin
jis ke ehtiram men sar kaTa diya gaya
us ko to ḳhabar nahin us ko to pata nahin
ḳhud se duur ho ga.e chuur chuur ho ga.e
rassi jal ga.i magar us ka bal gaya nahin
zaḳhm ki nazakaton ko nahin samajh saka
tu ‘vaqar’-ḳhan hai jaun-elia nahin
Leave a Reply