• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaenge Nazar Subh Ke Aasar Mein Hum Log

Aaenge Nazar Subh Ke Aasar Mein Hum Log

a.enge nazar sub.h ke asar men ham log

baiThe hain abhi parda-e-asrar men ham log

laa.e ga.e pahle to sar-e-dasht-e-ijazat

maare ga.e phir vadi-e-inkar men ham log

ik manzar-e-hairat men fana ho ga.iin ankhen

aa.e the kisi mausam-e-didar men ham log

har rang hamara hai, har ik rang men ham hain

tasvir hue vaqt ki raftar men ham log

ye ḳhak-nashini hai bahut, zill-e-ilahi

jachte hi nahin jubba-o-dastar men ham log

ab yuun hai ki ik shaḳhs ka matam hai musalsal

chunva.e ga.e hijr ki divar men ham log

sunte the ki bikte hain yahan ḳhvab sunahre

phirte hain tire shahr ke bazar men ham log

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dasht-O-Dariya Ke Ye Us Par Kahan Tak Jati

Na Koi Dar Na Daricha Magar Makan to Hai

afzal-allahabadi

Sulagti Ret Pe Tahrir Jo Kahani Hai

Jab Rakhe Panw Usne Pani Mein

Wo Gham-Gusar Bil-aKHir Bala-E-Jaan Nikla

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet