shishe men hai sharab to shisha sharab men
yaani hai aftab had-e-aftab men
sarzad hue gunah jo ahd-e-shabab men
malik mire inhen tu na rakhna hisab men
aalam yahi raha to nigahon ka zikr kya
niyyat bhi duub jaegi jam-e-sharab men
ai barq kya hamin ko mitana chaman men tha
tha aur ashiyan na koi intikhab men
‘afqar’ ye sab hain un ke tabassum ki shokhiyan
ranginiyan jo ban gaiin mauj-e-sharab men
Leave a Reply