Khulti Hai Guftugu Se Girah Pech-O-Tab Ki

khultī hai guftugū se girah pech-o-tāb kī

par kis se khul ke baat kareñ iztirāb kī

kaafī nahīñ hai chashm-e-tamāshā ko rañg-e-gul

laa.eñ kahāñ se zaḳhm meñ ḳhushbū gulāb kī

apnī barahnagī ko bachā tez dhuup se

kirnoñ meñ bū hai jalte hue āftāb kī

kuchh maiñ shajar se TuuT ke be-ḳhānumāñ huā

haañ kuchh havā ne bhī mirī miTTī ḳharāb kī

ik umr ho ga.ī hai ki maiñ jāñkanī meñ huuñ

aisī Thahar ga.ī hai ye saa.at azaab kī

ehsās-e-tīrgī hai to sūraj uchhāl de

varna duā na maañg yahāñ inqilāb kī

mahkūm bastiyoñ se sarakne lagī hai dhuup

vo ahd huuñ ki jis ne shafaq be-naqāb kī

bijlī chalī ga.ī to vo āñkhoñ meñ rah gayā

ab chhū ke paḌh rahā huuñ ibārat kitāb kī

‘shāhid’ kahāñ se ho ke guzartī hai āb-jū

rañgat tamām surḳh hai kyuuñ sat.h-e-āb kī

Leave a Comment