lamha lamha phailti jaati hai raat
qatra qatra zahr Tapkati hai raat
muskura kar saath ho leta hai din
jab bhi tanha chhoḌ kar jaati hai raat
teri qurbat ki mula.em dhuup ko
saath bistar par bhi le aati hai raat
qabl is ke lauT kar aa.uun main ghar
jism se us ke lipaT jaati hai raat
din khaḌa hai haath men ḳhanjar liye
jaate jaate ye bata jaati hai raat
Leave a Reply