kab bayaban raah men aaya ye samjha hi nahin
chalte rahne ke siva dhyan aur kuchh tha hi nahin
karb-e-manzil ka ho kya ehsas in ashjar ko
jin ke saa.e men musafir koi Thahra hi nahin
kis ko batlate ki aa.e hain kahan se kaun hain
ham faqiron ka kisi ne haal puchha hi nahin
kya talab karta kisi se zindagi ka ḳhun-baha
mujrmon men mera qatil koi nikla hi nahin
be-tahasha pyaar ki daulat luTa.i umr bhar
dosti ka ham ne kuchh anjam socha hi nahin
ghumta paaya gaya tha shahr men vo ek din
phir kisi ne tere divane ko dekha hi nahin
dosto ‘ḳhavar’ suna.e kya tumhen taaza ghazal
muddaton se us ne koi sher likkha hi nahin
Leave a Reply