hamari tarah koi dusra hua bhi nahin
vo dard dil men rakha hai jo la-dava bhi nahin
hamara dard ajab marhale men hai ki jahan
vo be-suḳhan bhi nahin aur lab-kusha bhi nahin
usi ko dekhti rahti hai chashm-e-shauq mudam
jo gham abhi sar-e-shaḳh-e-alam khula bhi nahin
ajiib tarah se raushan hui hai ḳhalvat-e-gham
ki raushni hai bahut aur diya jala bhi nahin
ye dasht-e-shauq bahut afiyat-gazida hai
ki ab yahan pe to imkan-e-naqsh-e-pa bhi nahin
guzar hai kaisi fazaon se aaj ta.ir-e-ishq
ki zer-e-bazu-e-parvaz ab ḳhala bhi nahin
main aise shaḳhs ko zindon men kya shumar karun
jo sochta bhi nahin ḳhvab dekhta bhi nahin
ye ishq ḳhaak hi hone ka naam tha so hamen
sila mila bhi bahut aur sila mila bhi nahin
ye asr-e-nau ki chitaon men aag kaisi hai
ki ruuh raakh hui aur badan jala bhi nahin
tamam umr ajab vaz.a-dariyon men kaTi
use aziiz rakha jo hamara tha bhi nahin
Leave a Reply