dikhla do naqsh pa-e-rasul-e-amin ko
ta-mashq sajda ho mire lauh-e-jabin ko
ai ah-e-dil jo jaave to arsh-e-barin ko
kahiyo salam iisa gardun-nashin ko
balbe sharar-e-ashk ki garmi ki ab talak
ik aag lag rahi hai miri astin ko
tha main kamin-e-bosa main bole isi liye
ashraf munh lagate nahin hain kamin ko
jab main hansunga aap se ro dijiyega na
phir tum bahut ho chhedte is kam-tarin ko
kahti ho kya raqib ko bhejun bata salah
laanat hi bhejiyega yazid-e-lain ko
dekhun huun gar alif ko to ai dil hazar baar
karta huun yaad tere qad-e-dil-nashin ko
aave nazar jo laam to aave khayal-e-zulf
jab scene padh ke dekhun huun dandan masin ko
karta huun teri ulfat-e-dandan men siin siin
yaan tak ki pahuncha huun main dam-e-vapsin ko
tabdil-e-bahr se vo ghazal padh ba-ab-o-tab
‘ehsan’ khushi ho jis se dil-e-samain ko
Leave a Reply