chhuTi ummid to main hal-e-dil kahne se kyuun Darta
masal mash.hur hai sarkar marta kya nahin karta
bahut achchha hua dushman ne mujh se dushmani kar li
siva mere na jaane aur kis kis ko ye le marta
agar dushman se aise pesh aate to maza paate
karun kya arz jo bartav mujh se aap ne barta
kisi paiman-shikan ne rukte rukte baat to kar li
jo va.ade hi pe ham uḌte to ye karta na vo karta
nahin mujh se tiri be-e’tina.i qabil-e-hairat
gharib insan duniya ki nigahon men nahin bharta
safi’ ne Thokaren kha ke bhi apni vaz.a kab badli
samajh vaala agar hota hasinon se bahut Darta
Leave a Reply