aaina ab juda nahin karta
qaid men huun riha nahin karta
mustaqil sabr men hai koh-e-giran
naqsh-e-ibrat sada nahin karta
rang-e-mahfil badalta rahta hai
rang koi vafa nahin karta
aish-e-duniya ki justuju mat kar
ye dafina mila nahin karta
ji men aae jo kar guzarta hai
tu kisi ka kaha nahin karta
ek varis hamesha hota hai
takht khali raha nahin karta
ahd-e-insaf aa raha hai ‘munir’
zulm daaem hua nahin karta
Leave a Reply