rah-e-gum-karda sar-e-manzil bhaTak kar aa gaya
sub.h ka bhula tha lekin shaam ko ghar aa gaya
jaise us ko rok sakna apne bas men hi nahin
jab bhi chaha be-ijazat ghar ke andar aa gaya
bhaag kar jaa.en kahan ab tu hi kuchh tadbir kar
samne apne samundar sar pe lashkar aa gaya
us ne koshish to bahut ki sar bachane ki magar
jis taraf se tha nahin andesha patthar aa gaya
ham na kahte the ki ‘farruḳh’ aadmi achchha nahin
dekh tujh ko bhi yaqin ab is se mil kar aa gaya
Leave a Reply