ḳhamoshiyoñ meñ bahut se savāl laayā hai
shikāyatoñ ke liye ruḳh nikāl laayā hai
ye keh ke us ne mujhe hairatoñ meñ Daal diyā
vo mere biite hue māh-o-sāl laayā hai
zarā sī der meñ sadiyoñ kā ban gayā zāmin
ye kis mizāj kā harf-e-kamāl laayā hai
ab us ke aage tumheñ hairateñ batā.ūñ bhī kyā
ḳhushī kā lamha bhī rañj-o-malāl laayā hai
mujhe patā na chalā ye ki merā mohsin bhī
varaq pe sone ke likh kar zavāl laayā hai
bisāt-e-ishq meñ ‘aslam’ ye kaise maat huī
kahāñ kahāñ se vo mohre nikāl laayā hai