basa.en kitni bhi ham bastiyan ḳhalaon men
uThe hain ḳhaak se rahna to hai sarabon men
hamen na bor karo sahab-e-ada kah kar
rahe hain ham to hamesha hi kaj-adaon men
na dhuup mujh ko gavara na chand ki ḳhushbu
mira vajud bikharta na yuun havaon men
dikha.i mujh ko diya tha vo chand sa chehra
sitara ankhen magar kho ga.iin kitabon men
vo laḳht-laḳht to utra tha ḳhuun men ‘iraj’
main us ki khoj men huun apne ham-navaon men
Leave a Reply