aap hi se na jab raha matlab
phir raqibon se mujh ko kya matlab
aarzu mere dil ki bar aa.e
sab ka puura kare ḳhuda matlab
kar na mujh ko subuk raqibon men
yuun hansi men na to uḌa matlab
ruk ga.i baat ta-zaban aa kar
dil ka dil hi men rah gaya matlab
zid hi zid shaiḳh o barhaman ki thi
varna donon ka ek tha matlab
meri ik baat men hain sau pahlu
aur sab ka juda juda matlab
ghair ki aur is qadar tarif
ham samajhte hain aap ka matlab
agli baton ka zikr jaane do
aaj is tazkire se kya matlab
ḳhush ho na-faham bhi samajh ke ‘hafiz’
saaf aisa ho sher ka matlab
Leave a Reply