
Arshad Abbas Zaki
ḳhafa hain is liye vo ham se farma.ish nahin karte
so ham bhi dhuup aur saa.e ki paima.ish nahin karte
zamana har chamakti chiiz ko sona samajhta hai
hamara mas.ala ye hai ki ara.ish nahin karte
zarurat ashkara karti hai nam-o-nasab sab ka
vagarna jo hasin hote hain zeba.ish nahin karte
utar sakti nahin dil-a.ine men raushni jab tak
ham us se saaf saari gard-o-ala.ish nahin karte
zaki har ek ḳhvahish ki chukana paḌti hai qimat
talab ham is liye ab us se asa.ish nahin karte

Leave a Reply