gul o mahtab likhna chahta huun
main apne ḳhvab likhna chahta huun
mohabbat se bhara hai dil ka dariya
magar payab likhna chahta huun
likhun kaise ki saare sher tum par
bahut nayab likhna chahta huun
main apna aur tumhara naam ik din
kanar-e-ab likhna chahta huun
main ḳhud ko badshah-e-ishq likh kar
tumhen be-tab likhna chahta huun
main saare zaḳhm jo tum se mile hain
unhen shadab likhna chahta huun
main ‘sabir’ zindagi ke saare manzar
pas-e-girdab likhna chahta huun
Leave a Reply